Chitral suba khyber pakhtun khwa ka aik zila hai.Chitral pakistan ke intehai shumali konay par waqay hai.Raqbay ke lihaz se ye subay ka sub se barla zila hai.Ye zila tarich mair ke daman main waqay hai.Jo k koha hindukush ke baland tareen choti hai.Is ke sarhadain china aur afghanistan ke wakhan ke pati se milti hai.Jo usay wast asia k mumalik se juda karti hai.Reyasat k is hisay ko baid main zila ka darja diya gia, aur suba khyber pakhtoon khwa ke malakand division se munsalik kia gia. Apnay munfarid gurafiyai mahla woqugh ke wajah se is zila ka rabta mulk k digar hison se taqriban panch mahinay tak munqata rehta hai.Chitral main 17 zabanain boli jati hai.Yahan k logon ki madri zaban khowar hai.Is ki abadi 4 lac nufus per mushtamil hain.Ye khita apni purkashash saqafati aur sayahati nuqta-e-nazar ki wajah se buhat ahmiyat ke hamil hai.Yahan ke rahnay walon main aksariyat musalman hain,lakin kafiristan yani kalash qabilay ke log non muslim hain .
Chitral anay ke dou rastay hain.Aik fazai dusra zameni,fazai rastay k zariay ap Peshawar aur Islamabad se PIA ki flight se chitral ja saktay hai.Jo k rozana service datay hai.Aur barasta lawari tunnel ke zariay Peshawar se Chitral 366 km ka safar buses se taiy kartay hain.Lawari tunnel 8.75km lambi zera tameer surang hai.Jis per kam ka aghaz 8,september1975 ko hua tha.Magar fund ki kami aur kuch aur wajuhat ki bina per ye kam agay na barl saka,aur dubara sabiq sadar Pervaiz Musharraf ke daur main kam ka aghaz kia gia.Jo k 2014 main mukamal ho jaiy ga.Is k baid Peshawar aur Chitral k darmian fasila 14 ghantay kum ho jaiy ga.
Chitral main phel baksrat paiy jatay hain.Jin main taqriban her qasum ki phel shamil hain.Yahan ki dry fruits puri dunaya main mashur hain.
Khalon ke hawalay se b Chitral ka aik alag aur munfarid maqam hai. Yahan taqriban her qasum k khail khailay jatay hain.Magar polo yahan ka sub se purana aur rivayati khail hai.Jo k her sal 7 se 9 July ko Shandur k muqam per Chitral aur Gilgit ki teamon k darmian khala jata hai.isKo dakhnay kalia mulki aur ghair mulki sayah atay hain.Shandur polo ground dunia ki sub se buland tareen polo ground hai,is ki bulandi 3,800 meters hai.

Shandur polo festival
Aik sayahati ilaqa hona ki wajah se yahan per pura sal mulki aur ghair mulki sayah atay rehtay hai.Yahan per thernay k lia buhat saray hotels moujud hain,In main serfehrist PTDC shamil hain.Yahah per aur b bohat saray tarikhi imaratain hain.Jin main badashahi mosque shahi qila chitral musuam shamil hain.


PTDC Motel Booni Chitral

Lady Diana Chitral ke douray k moqay per Chitrali dress mai
Taleem k lihaz se b ye zila suba ke digar azla main sub se agay hain.2003,ki servay k mutabaq yahan literacy rate 98 %. thi.Aur halia servay k mutabaq 100% hai.Jo k suba main sub se ziyada hai.Yahan per taleem ke maidan main private sector govt sector ke shana bashana kam kar raha hai.Is silsilay main AKESP Agha khan education service pakistan aur G.D lang land school aur college qabila tahseen hai.Ye school 1979, main G.D lang land na Sayurj public school k nam se shuru kia tha, jo baid main un k khadmat k itaraf main un k nam se munsalik kar dia gia.

G.D lang land with new principal of G.D lang land school and college
Moujuda waqt main Chitral main dou Universities hain,shaheed Benazir Bhutto aur Abdul Wali Khan,ye donon taleemi idaray b Chitrali talib elmoon ke elmi piyas bhujanay main masruf-e- amal hain.
Isi tarah sihat k shubay main b Aga Khan Health Service aur govt sector milka kam kar raha hain.
Chitral main sardion ki ba nisbat garmion main kam barish hoti hai.Sardion main yahan rat ke waqt temp-10c. tak pohanj jati hai.Yahan sardion ke mosum main teen se char mahinay lagatar barfbari hoti hain.

Chitral me barfani mosam
Yahan k log intihai jafakash aur mehnati hai,aur nihat sada zindagi guzarti hai.Aur behad mehmannawa hain.
A craft man