FASHION KA BARHTA HUA RUJHAAN
Pakistan ek islami mulk hai jis main nazariyaat ki buniyaad
bhi islami usulon ko mad-e-nazar rakhete huay ki gayi hai, mager aaj kal
taleemi idaaron main fashion ka barhta hua rujhaan bohat agay nazar aata hai
jin main universities, colleges aur institute waghera shamil hain aur is k
saath hi larkion ka fashion se bharpor dress bhi shamil hai. Chand din pehle
nijji tv channel ke ek program main Lahore girls college ke bahar ka manzar
dikhaya gaya, us manzar main college ke bahar larkon ke mandlanay ka manzar
dikhaya gaya aur wo ye kaa, apne deegar kaamon ko chor ker bohat mazay se kerte
nazar atay hain aur jab larkion se poocha gaya to unhone in baton per nagawari
zahir kern eke bajaye ulta is ko tafreeh ka zariya qarar diya aur “time pass”
ka naam diya, aur ye sab kuch duniya k saamne aaya jisko puri duniya ne dekha
aur suna. Mager sochne ki baat to ye hai k kiya hum itne ziada modern ho gaye
hain aur modernism ke naam per apni riwayaat aur tehzeeb ko bhula bethe hain,
ager hum is tarhan modern hain ke hamare nojawan larkion ko cherte hain,unpe
rah chakty comments karty hain, aur peecha kerte hain aur hamari larkion ko ye
sab entertainment lagta hai to intehayi afsos k saath ye baat kehna paregi ke
hum sab jis main khususan hamari nojawan nasal, hamara muaashra, waalden aur
hamara mulk tabahi ke raaste per hain. Ye modernism nahi ke hamara muaashra jo
ke islami hai, kiya in ki ijazat deta hai? Kiya hamari riwayaat aur iqdaar
humko in raabton ki ijazat deta hai? Hamari nasal kis raaste per chal rahi hai?
Hamare waalden apne bachon ki kiya tarbiyat ker rahe hain? Kiya walden apne
bachon aur bachion ko gher se nikalte waqt dekhte hain jab wo gharon se bahar
taleem hasil kerne aur kaamon ke liye nikalti hain?
To kiya ye waalden ka farz nahi ke wo apne bachon ko gher se
nikalte waqt dekhen aur kiya ye taleemi idaaron ki intizaamiya ka farz nahi ke
wo aise qawaid-o-zawabit banayen ke tulba-o-talibaat muhazzib huliye main nazar
aayen aur hukumat ko chahiye ke wo bhi is silsilay main khas iqdaamaat kare aur
baqaida tamam taleemi idaaron main aisi policy tarteeb di jaye jis per sakhti
se amal kiya jaye. Hamare asaatza per bhi bhaari zimmedari aaid hoti haike inko
chahiye k wo tulba aur talibaat ke kirdaar per khususi tawajjoh den. In main
sab se ehem kirdaar media ka hai mager afsos ke hamare media per aaj kal jis
tarhan ke program dikhaye jate hain ager aap morning show ki misaal le len to
tamam morning shows umuman mezbaan dupatta se aari hoti hain aur ager is per
awaz uthayi jaye to isko media per pabandi ka naam diya jaata hai aur media ki
azaadi main rukawat kaha jata hai.
Lehaaza hukumat aur intizaamiya ki zimmedari hai ke wo
hamari mazhabi iqdaar ko sar-e-aam kerne ke liye iqdamaat kare aur mazhabi
iqdaar, muaasharti iqdaar aur riwayaat ko barqarar rakhne ke liye iqdamaat kare
aur taleemi idaaron ke bahar mandlaate nojawano ki aisi lagaam lagaye ke wo
aainda is bare main sochen bhi nahi.
No comments:
Post a Comment