KHAWATEEN PER TASHADDUD KAB TAK?
Aurat, khua beti, behen, biwi, maa k roop main huay baghair
insaani muaashra na-mukammal hai. Islam main aurat ko intehayi buland muqaam
diya gaya hai, beti hai to waalden k liye rehmat, Maa hai to is k qadmon talay
jannat rakh di gayi hai. Wo Pakistan jahan aurat 2 martaba wazeer-e-azam
muntakhib hui. Bani-e-Pakistan Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ki hamsheera ne
bhi maidan-e-siyasat main khoob naam khamaya aur Rana Liaquat Ali ko Governer
Sindh k aala martabay per bhi fa’iz kia gaya. Aurat ne sabit kiya ke mard ki
tarhan aurat bhi kisi tor per kam ehmiyat ki hamil nahi hai mager is k bawajood
“Pakistan ka matlab kiya La ilaha illallah Muhammad ur Rasool Ullah” ke naaray
oper hasil kiye gaye is mulk ke buniyadi faraiz k maamlay main hamesha nazar
andaaz ki gayi. Aksar dehaati aur qabaili nizaam main basne wali aurat per aaj
bhi dor-e-jahliyat ke rasm-o-riwaj ka itlaaq kia jata hai. Wani aur kar-o-kari
jesi qabeeh rasm, gang rape, zana bil jabar, jabri mushaqqat, maar peet,
bachion ki marzi k khilaad shadi, izzzat k naam per qatal, wirasat se mehroomi
aur rupay pase ke haq mehr jese gher munsifana, zaalimana iqdamaat aur jahilana
rasm-o-riwaj se Islam aur Pakistan ki aalmi satah per ghalat hai jab ke Shariyat-e-Islamia aur Sharayi
qawaneen se in rasoom-o-riwaj ka dor ka bhi wasta nahi. Bal ke ye sab kuch
Islam ko badnaam kerne ki Ghinaoni sazish ke hai, afsos is baat ka hai ke
ease darinday masoom kaliyon ki masal
dete hain mager qanoon ke rakhwaly aisay darindon ki girift main nahi la sakte.
Itni qanoon saazi aur NGOs , civil society ke bawajood itni bari tadaad main
tashaddud ke waqiyaat ka samne aana surat-e-haal ki sangeeni ki goor-o-fikar ka
baiz hai. punjab main muasharti ziat’tion ka nishana banne wali khawateen ko
panah faraham kerne k liye qaim kiye gaye dar-ul-amano main mutasira khawateen
ki tadaad gunjaish se dugni hone ki waja se mehakma-e-social welfare aur
mutaasra khawateen ko mushkilaat ka saamna kerna parh raha hai. Suba-e-punjab
samet Pakistan ke deegar subon main
khawateen ke saath tashaddud ke waqiyaat hote rehte hain, baaz oqaat halaat
thanay, kachehri tak pohanchte hain uar mutasira khawateen ko apni zindagi
bachane k liye adalat ka darwaza khatkhatana parta hai. Adalaten apne faislon
main mutasira khawateen ko tahafffuz faraham kerne k liye dar-ul-amaan mai dakhil
kerne ka hokum deti hain,dar-ul-amaano main adalaton ki taraf se bheji jane
wali khawateen aur bachon ki tadaad gunjaish se ziada hai. Sarkari afsraan ke
mutabuq har dar-ul-amaan main ek waqt main kam az kam 50 khawateen ko panah
faraham ki jasakti hai laikin surat-e-haal
is ke bar-aks hai aur taqreeban har dar-ul-amaanmain ek waqt main
takreeban 90 se ziada khawateen rehti hain.Bad-qismati ki baat ye hai ke aurton
ke khilaad jarayim ki sharah main roz bar oz izafa horaha hai jo ke HAW’WA ki
beti ke sath hone wali saiyati or kissi gunnah se kam nahi hai.
No comments:
Post a Comment