'' Yaqinan momino me sab se kamil tareen eman wala wo he jo in me akhlaq ke lehaz se sab se acha he''.(HADITH SHAREEF)
Insani shaksiat ki asal tasveer ek aina bhi itne saaf tareqe se pesh nahi karta jitna is ka akhlaq.Akhlaq ki sab se ala aur bari misal HAZOOR PAK S.A.W ki he.App S.A.W ne har takleef bardast ki lekin kabhi bhi akhlaq ka daman hath se nhi chora aur sirf husn-e-akhlaq he ke hathyar se apne bare se bare dushman ko zair kiya.
HAZOOR PAK S.A.W ne momino ke eman ki takmeel ka pemana husn-e-akhlaq ko qarar diya he.
HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHE ka irshad he :
''Akhlaq wo chez he jis ki qemat kuch nahi deni parhti magar is se her chez ko khareda ja sakta he.''
Alkhlaq ki ihmiat bht zyada he ye nasirf skhsiat ko sanwar deta he balke dosro me nomaya bhi karta he akhlaq insan ke zahir aur batin ki islah karta he.Kisi se muskara ke milna he akhlaq nahi he balke naram mizagi,goftogo me tehrao,shadeed rad-e-amal se gorez sab chezain akhlaq me ati hain.
Lekin hamare ird gird mamla he mukhtalif he yahan sab apne mofad me is qadar shidat pasand ho gaye hain ke nasirf akhlaq se ari hain balke dosro ki dilazari karne se peeche nahi rehte.mukhtasir sa lafz ''sorry'' kehna inhe apni shan ke khelaf lagta he aur sone pe sohaga agar koi insan in se ache se mile to wo inhe khushamdi ya matlab parast lagta he lekin afsoos ye wohi log hain jo nahi jante ke pani ki nazuk bondain jis tarah pathar jaisi thos chez me sorakh kar deti hain isi tarah aklhaq ek sakht se skhat mezaj wale insan ko azeem bana deta he aur akhlaq he ki badolat insan dosron ko apna garweda banata he.
No comments:
Post a Comment