Sunday, 6 October 2013

Baaton Sey Khushboo Aaye

Aaj k dour mai jis k pass paisa hai log usi kou khuda samajh ker poojne lag jatey hen,yeh janchey bina k woh shaks ikhlaaq ka bura hai,emaan ka kaccha hai, niyaat ka mailaa hai aur zuban ka pakka nai hai.
Aaj k dour mai log yeh nai dekhte k is shaks ka talluk kis khandaan sy hai balke yeh dekhte hen k is k pass jaidaad(property) kitni hai khuwa phir woh gair kanooni assasa hi q na hou.
Tallukaat rakhne ki soch aaj kal her jaga yehi dekhi jarahi  hai k log ameeron k agey jhukte hen aur gareebon kou hakeer jan kar unkou aisey dhutkaarte hen jaise unhe koi aisa marz lahaq hai jou virus ki tarhan unhe urh ker lag jayega.Jab k woh is baat sy la-ilm hen k ALLAH k agey dolaat,shohraat aur status nai jayega,jayegi apki niyaat,apki soch,apka amal aur apke emaan ki pakeezgi.
Ab baat yeh aati hai k in cheezon mai  fark kaise kiya jaye aur  kis k sath apne taluukaat qaim kiye jayen  aur kis k saath nai?tou janab is ka jawab bohat mukhtasir hai woh yeh hai k ap her us shaks k sath talukaat rakhen jou shaks apne amal mai sabir,apni zaban ka sacha, aur apni soch mai aalla tareen hou aur na sirf yeh khusoosiyaat uski guftugu mai jhalkey balke us ki jhalak us k amal mai  bhi rachi basi hou jis sy uske eman ki khushboo aaye aur uski zaat mehakti hou.

No comments:

Post a Comment