Bhaee kia kehne is Government k pehle Youtube per pabandi lagwaii jis sy na janey kitne log ghar bethy kitna kuch seekhte thy aur ab social netwoking applications per jis mai Viber,Whtsapp,Skype,Tango aur deegar network shamil hen is kou band karne ki planning ki jarahi hai.
Bhala bataiye! In applications kou tou aam huey 2 ya ziada sy ziada 3 saal huey honge per terrorism attracts tou 2007 sy urooj per hen tab yeh applications kahan thin? Janab tab tak tou shayed hi kisi k pass laptop bhi aam tor per nazar nai aata tha,tou tab agar yeh deshat gardi nai ruki tou ap kia samajhte hen in social networking kou band kardene sy yeh awamil ruk jayenge?Hargiz nai! q k aj bhi kae elakon mai Youtube access hoti hai. ISP providers ki janib sy, q k woh mukamaal tor per block nai hui hai aur iska ilm PTA kou b hai.Is k alawa bhi kae IP breaking software's hen jis sy her khas-o-aam waqif hai aur jis ki madad sy ap IP change kar k Youtube aur degaar restricted sites easily access karsakte hen.Tou phir akhir yeh dikhawe ki pabandiyaan q?Bhaee Government yeh q nai samajhti k jab Rules banaye jate hen tou unsy qabal unkou torne k bhi Rules banaye jate hen tou phir yeh dikhawe ki blocking q? kia is sy terrorism attacks rukenge?Ji nai ! Is sy attacks tou nai rukenge galeeban naye aur jadeed tar tariqe mazed manzar-e-aam per aayenge k aisey nai tou aisey bhi waar kiya jasakta hai.Lihaza social networking sites kou block kar k logon kou pareshan na karen q k in applications ka sab sy bara faida un families kou hou raha hai jis k friends aur relatives bahar mumalik mai rehaissh pazeer hain.Woh ba aasani unsy webcam chat k zariye ya Voice chat k zariye baat karsakte hen tou khudara un per tou na zulm karen.
Meri Government sey guzarish hai k Khudara kisi kou faida nai pohancha sakte tou itna nuqsan bhi na pohanchaiye ,q k jis ne galat amal karna hai woh kisi haal mai bhi kareyga ap kia awaam k saans lene per bhi apni soch ki nazar pabandi laga denge?
No comments:
Post a Comment