Friday, 11 October 2013

Depression ek tezi se barhti hoi demaghi bemari

        Depression ek demaghi bemari he jo mojoda moashre me tezi se phelti hoi bemari mani ja rahi he. Sab se phele hum is baat ko wazhe kate hain k depression he kya? urdu me is ke lafzi maine afsurdagi ke hain.Mashoor maher-e-nafsiyat JOHN.M GROHOL ke mutabiq:
                         ''Depression k kai naam hain jin me blues,major depression biological depression wagaira hain lekin ye sab chezain ek he hain hafton mahinon tak afsorda rehna, ye ehsas aksar naumeedi,kowaat-e-mudafiat ka kam hona,chezon me dilchaspi kam lene se paida hota he.Depression me mubtala insan aghe barhne aur koi kam  karne me apne app ko kamtar mehsoos kate he.
        Almi edara-e-sehat(WHO) k mutabiq 121 million log duniya me is bemari ka shikar hain. Pakistan me takreeban 34% is bemari se docar hain .Karachi me 35.7% log is bemari ka shikar hain .Depression ki bht si wajohat hoti hain jin me kuch mashi hain jin me berozgari,mashi pasti,gham waghaira hain aur sath he kuch amm wajhohat bhi hoti hain in me mosam ki tabdeli,cigarette noshi aur degar nasha wagaira,nend me khalal,khorak me machli ki kami waghaira aham wajohat hain.Science ka manna ye bhi k demagh me kisi khas kimeyai ajza ki kami ki waja se bhi depression paida hota he.Depression k kai elaj daryaft kiye ja chuke hain jin me anti depression adwiya,syco therepy aur sab se aham kareebi logo ki tawajah aur mohabat se bhi kafi had tak is bemari par kabo paya ja skta he.
         Depression sirf aurton aur mardon me he nhi hota balka ek survay k mutabiq kam umar nojawano aur bacho me dippression paida ho raha he.
        Mere mutabiq aj kal depression ki aham wajah besukoni he jo duniya me hone wali dehshat gardi,intah pasandi,khonrezi, mashi pasti aur jaraim ki wajah se paida ho rahi he q k ek demagh usi wagt acha kaam kare ga jb us k irdgird k halat pursukoon hon ge.

No comments:

Post a Comment