Friday, 18 October 2013

KALASH VALLEY IN CHITRAL

 
Kalash qabilay se mutaliq kaha jata hai k ye unani nasal se taluq rakhta hai.jb sikandar-e- azam yahan se guzra tou us ki fauj ke kuch sipaheon ko ye jaga pasand agaye aur unho ne yahan inhi paharon me rehana shuru kr dya. Kalash aurtain kala libas hi pehanti hain. Is k elawah galay main bohot saray har pehantay hain aur makhsus topi pehanti hain, woh b bohot sary moteon se bani hoti hain. 
Pehlay ye sub non-muslims thay. Pher baid main tablighi koshishon se kuch ko musalman kya gya. Ab yehan per tabligh manah hai takah un ka munfarid culture mutasir na ho. Kalash apnay murdo ko dafnatay  nhe balkeh khulay taboot main rak daitay hain.                                                                                    Kalash way of burrying
Shadi b un k han maghribi tarz yani western tradition me hoti hain. Husband wife jub chahain alag ho sktay hain, jab chahain mil saktay hain, is k liye un ka muashara yani society deewar nhe banta. Kalash main taleem ka mayar b intehai shandar hai. Unani NGOs un ko fund muhaya kratay hain. Aur kalash ki anparh auratain b english bol sakti hain, keonka wahan pura saal international tourists atay rehaty hain.In halaat ko daikhtay huay dar lagta hai k kahain ye log apni asliat kho na jaye.

2 comments:

  1. very informative.

    ReplyDelete
  2. You know your projects stand out of the herd. There is something special about them. It seems to me all of them are really brilliant! Pay2Amigos

    ReplyDelete