Friday, 18 October 2013

EID-E-QURBAN SUNNAT-E-IBRAHIMI YA DEKHAWA

Aj puri duniya mai farzandan-e-islam eid-ul-adha mana rha hain.Yeh din us azeem aur bemesal qurbani ki yaad dilata hai jo Hazrat Ibrahim alaihis salaam na apna peyara aur sub sa anmool cheez ko bargah-e-khudawandi mai pash k the.Tarikh-e-islam mai yeh aisa nadir waqia hai jis k yaad mai musalman har sal eid-ul-adha manata hain. Allah na khawab mai Hazrat Ibrahim alaihis salaam ko qurbani ka hokum diya
 subha Hazrat Ibrahim alaihis salaam na sou ount rab-e-qudus ki rah ma qurban kardia, dusri rat pher wohi khawab dekha subha pher sou ount qurban kardia,tesri rat pher wohi khawab dekha jis ma hokum mila A Khalil meri rah ma woh chez qurban karo jo tumha sub sa ziyada piyari ha.Hazrat Ibrahim alaihis salaam samajh gay k Allah in sa in kay betay Hazrat Ismail alaihis salaam ki qurbani mang rahe ha.Hazrat Ibrahim alaihis salaam na Hazrat Hajra ko b agah kia,to Hazrat Hajra na yeh sun kar farmaya agar Allah ka yeh hokum ha to aik Ismail kia hazaroon Ismail b ho to Allah ki rah ma qurban hona k lia hazir hain. Hazrat  Ibrahim alaihis salaam na Hazrat Ismail ko b puri haqiqat sa agah kia to us na kaha agar Allah ki yehi mansha ha to ma hazir hou aur mujhay ap Inshallah sabar karna walon ma pain gay. Pher ap na apnay lakhtay jigar k galay par churi chala di jab ap na apni ankhoon se pati utari to kia dakhta ha k zameen par Hazrat Ismail k jaga aik mendha zabah hua para ha aur Hazrat Ismail alaihis salaam kara muskura raha ha.Is waqt ghaib se awaz ai A Ibrahim tu na apna khawab sach kar dekhiya, hum nakukaroon ko aisi he badla datay ha.Rab-e-karim na is qurbani ko is qadar pasand farmaya k qiyamat tak Ummat-e-muslima ka lia is qurbani ko zaroori qarar data hua yadgar bana dia.Puri duniya  ma her sal musalmanHazrat Ibrahim alaihis salaam ki taqlid ma qurbani ka nazrana bargah-e-Ellahi ma pash karna k sadat hasil karta hain.Nabi-e-pak ka farman ha beshak Allah tumhari aur tumharay amwal k taraf nei dakhta,balka woh to tumhari niyat ko dakhta ha.Is eid ko mana ka maqsad yeh ha.K musalmanon ke andar b woh roh-e-emani paida ho jis ka amli muzahira Hazrat Ibrahim alaihis salaam aur Hazrat Ismail alaihis salaam na kia tha.Lakin aj kal yeh azeem-ul-shaan din b aik tehwar ban kar reh gia ha.Aj k sahib haisiat  is muqadas tehwar k zaria b namood namaish karna ma koi kasar nei choltay. Ji sa masheray k gharib aur nadar tabqoon ma ihsas-e-kamtari puri shedat sa janam lata ha.Hum duniya k chahat aur aik dusray k dikha dakhe apnay duniavi rutbay ko barqar rakhna ki khatir Islam se kousoon dur ho chuka hain.Allah pak hamaray dilon se duniya ki mubahat nikal kar apni aur apna piyaray habib ki muhabat paida farma, Ameen

2 comments:

  1. JazakAllah MashAllah.. high thoughts Allah sabko yeh samjhne ki taufeeq ata farmain Ameen...

    ReplyDelete