"There are two ways of spreading light:to be the candle or the mirror that reflects it."
Friday, 11 October 2013
HAZARON KHOAISHAIN AESI K HAR KHOAISH PE DUM NIKLE..........
Ye insan ki fitrat he k insan khob se khob tar ki talash me rehta he jo he jitna he is per kanat karna hamara shewa nahi raha ek khoaish pori to dosri ser uthane lagti he aur har khoaish ko pora karne me insan apni hasti ko mitane ki had tak phonch jata he .Wo waqt aur tha jab daal roti per bhi sabar shukar k sath nosh farmai jati lekin ab to fast food se neeche baat nahi ati .Isi tarah khoaishon ke peche bhagte bhagte insan kab hasid ban jata he ise pata nahi chalta kyun ke khoaish tab he paida hoti he jab isan ko apna app samne wale se kamtar lagne lage he.Ek waqt tha jab is misal per amal kiya jata tha "some thing is better than nothing"lekin ajj something se to guzara he nahi ab to har chez ka mukammal aur zada hona aham banta ja raha he.Nafs ki taskeen k liye insan apne Rab ko bhula betha he kyun ke jab insani khoaishain pori nahi hon ge to insan muztarib rehe ga aur apne rab ki nashukri karta rahe ga k mere pas ye nhi to wo nahi akhir kab tak ham duniyawi chezon k talabgar rahain ge? kab tak is serab ke peche bhagte rahain ge? kab hum is baat ko samjhain ge jo hamare paas he sekron log is se bhi mehroom hain kab hum apne se uper walon ko dekh kar shikwa karne ke bajae apne se neeche walo ko dekh kar shukar karain ge? akhir kab tak hum apne ALLAH ki narazgi mool lain ge?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
true
ReplyDelete