
Watne-e-aziz ki almi shuhratyafta aur qabil-e-fakhar beti malala yousufzai jisa taliban na safhai hasti se mitane main koi kasar nehe churla,12 july 1997,ko suba-e-khyber pakhtoon khaw k zillah sawat ke marghazaroon main janam lia.Malala urf gul makai ne BBC urdu.com main sawat ke halat se mutalaiq darjanoon dairian likhe.Unhon ne likhna ka kam january 2009,main shuru kia.Us waqt un ki umr 11sal thi,aur woh maqami school main sathween jammat ki taliba thi.In diarion ke andar unhon ne sawat main taliban ke wajah se taleemi sargarmian band hona ko issue banaya gia.Is ke zariay unhon ne bachioun ki taleem ke haq main awaz baland ke,aur ye in ki wajah-e-shuhrat bane.Jisa khaif hokar taliban ne un ke upar hamla kia aur in ko sar main 3 golian mare gai,magar Allah ko kuch aur he manzoor tha.Woh is janleva hamlay main bach gay aur apni zahanat aur khudadad salahiyatoon ke bal botay per us ne puri dunia main pakistan ka nam roshan kia.Us na dunia ke azeem tareen forum yani aqwam-e-mutahida ki journal assembly main dunia ke balay aur namwar lidroon ke samna entahai purjush aur puritimad taqrir karka ye sabit kia ke ye bechi kitni zaheen hai.Malala Yousufzai ab tak dunia ke mukhtalif mumalik se 25 belay medals aur azazat hasil karchuki hai.Aur ye aman ke nobel inam kalia b namzad hui the.Aur ye ab tak ke nobel kalia namzad umeedwaroon main sub se kum umr umeedwar the.Malala nobel inam ke 289 umeedwaroon main sub se sur-e-fihrst the.Agar malala ko nobel inam mil jata to hum puri dunia ke samnay surukhru ho jatay.Malala is arz-e-pak ko taleem ki rah par ustwar karna chahti hai.Woh bilkhusus bachiou ki taleem ke zariay mulk ko agay lakar jana chahti hai.To aiay mil kar bahisiat-e-pakistani aur aik zimadar shehri ke hum b is naik kam main in ka sath dain aur apnay apnay hisay ka kirdar ada karain.
No comments:
Post a Comment