Jesa k hum sub ko pata hai k aaj kal khawateen shoba e zindagi may berh cherh kar hissa leti nazar aarahi hain or iski bunyadi waja shaoor hai jo inhun nay taleemi idaaron or badalate hue mahol se haasil kiya hai. Aaj ki khawateen pehle zamanay ki khawateen se zyada ba shaoor hain. kuch arsay pehle tak aurton ko aagay aanay or apni salahiyaton ko izhaar karnay k zyada maukay mayasser nahi thay magar waqt k sath sath halaat tabdeel horahe hain. Aaj ki aurat apne mustqbil k liye zyada pareshan nazar aati hai wo maashray may apni jaga bananay k liye mardon ka bharpoor muqabla karahi hain or ye isi jiddojehad ka natija hai k aaj wo her shobay may apni salahiyaton ka loha manwa rahi hain.
Ab wo waqt duur nahi jub mardon ko her medaan may khawateen ki ahmiyat tasleem karna paregi. aaj khawateen taleem ko sirf matric ya medical tak nahi dekhti hain bulkay dosray be shumaar shobon may apna naam bana rahi hain jese I.T, BANKING, SAHAFAT sameet deegar shobon may bhi apna kirdaar ada karahi hain. Aaj kal media may bhi khawateen ba asar ohdoon per faaiz hain jo k mukhtalif TV, VIDEO CHANNELS or NEWSPAPERS may bhi kaam karahi hain. Aaj se pehle her hukumat khawateen k huqooq k liye kaam karnay k daaway karti thi lekin perwez musharraf ki hukomat may jis tarah khawateen ka maqaam berha hai wo waqi qaabil e tareef hai.
Islam bhi aurat ko ek ba waqar maqaam deta hai jis ki haqeeqat se ye maashra bhi inkaar nahi kar sakta. Per ab bhi humare maashray may bohat se aise ghar maujood hain jahan khawateen mardon k zulm o sitam ka nishana bun rahi hain or unko apne huqooq k liye larnay ka shaoor nahi aya. Lekin jis tarah humara mulk taraqqi karaha hai or khawateen aagay berh rahi hain to wo din duur nahi k aurat mardon se ek qadam aagay khari hongi.
true
ReplyDelete